kaabe hī kā ab qasd ye gumrāh karegā
jo tum se butāñ hogā so allāh karegā
zulfoñ se paḌā tuul meñ ab ishq kā jhagḌā
ḳhat aan ke ye majhla kotāh karegā
bose kī talab se to rahegā tabhī ai dil
jab gāliyāñ do-chār vo tanḳhvāh karegā
ā.īne ko Tuk bhar ke nazar dekh to pyāre
vo tujh ko mire haal se āgāh karegā
ahvāl-e-dil-e-zār tujhe hovegā mālūm
jab tū kisī mah-vash kī miyāñ chaah karegā
vaahī na samajh 'soz' ke paimāñ ko tū ai yaar
jo tujh se kiyā ahd so nirbāh karegā