Meer Soz

jitna koi tujhse yar hoga

Meer Soz

Delhi, India

1721-1798
jitnā koī tujh se yaar hogā
utnā hī ḳharāb o ḳhvār hogā
har roz ho roz-e-īd to bhī
tū mujh se na ham-kanār hogā
bas dil itnā taḌap na chup rah
tujh ko bhī kahīñ qarār hogā
dekhe jo koī chaman meñ tujh ko
gul us kī nazar meñ ḳhaar hogā
shikve meñ ho jis ke ḳhuun kī bū
terā hī vo dil-figār hogā
nāseh na ho girya se jo maane
merā vahī ġham-gusār hogā
jā yaar shitāb 'soz' se mil
terā use intizār hogā
Top Urdushayar.com