hayāt raas na aa.e ajal bahāna kare
tire baġhair bhī jiinā paḌe ḳhudā na kare
maiñ roz martā huuñ is intizār ke sadqe
burā na maan agar zindagī vafā na kare
ham ek ho ga.e do din meñ kis tarah allāh
yahī duā hai koī tīsrā judā na kare
manāyā jashn-e-shab-e-ġham ki ek din to kaTā
jo tujh se chhūT ke jiitā rahe vo kyā na kare
maiñ apnī raushnī-e-tab.a se laraztā huuñ
mirā junūñ mujhe manzil se āshnā na kare
maiñ kyā batā.ūñ ki qurbat kā fāsla kyā hai
ki jaise ghar to banā.e koī rahā na kare