soch kī parchhā.iyāñ haiñ aur maiñ
tajraboñ kī sīpiyāñ haiñ aur maiñ
shahr hai ḳhāmosh jaise ho khañDar
dhuup meñ jalte makāñ haiñ aur maiñ
tez āñdhī chīrtī jaa.e badan
dhuñd meñ lipTe jahāñ haiñ aur maiñ
ḳhuun meñ luThḌe saroñ ke darmiyāñ
daar kī ḳhāmoshiyāñ haiñ aur maiñ
phuul sī chiḌiyā zamīñ par kyā girī
zehn meñ raqsāñ gumāñ haiñ aur maiñ
gard hotī manzileñ haiñ sāmne
ret par miTte nishāñ haiñ aur maiñ
zard mausam oḌh kar soyā badan
ruuh kī pahnā.iyāñ haiñ aur maiñ