Azeez Prihar

aisa kuchh mujhko paDha phir mujhe paDhna na paDe

Azeez Prihar

Nawanshahr, Punjab, India

1954
aisā kuchh mujh ko paḌhā phir mujhe paḌhnā na paḌe
mujh se kuchh aisā karā kuchh kabhī karnā na paḌe
paañv rakkhūñ maiñ jahāñ bhī vo zamīñ ho merī
ajnabī rāhoñ pe yārab mujhe chalnā na paḌe
log mar jaate haiñ jiine kī tamannā le kar
zinda rahne kī jo ḳhvāhish ho to marnā na paḌe
chāñd ho aur na zamīñ ho na sitāre na falak
mujh ko is shahr meñ yārab kabhī rahnā na paḌe
terī chaukhaT pe jo aa.uuñ maiñ ziyārat ke liye
mere maulā mujhe phir girnā sambhalnā na paḌe
Top Urdushayar.com