Azeez Prihar

subh aati hai to aKHbar se lag jate hain

Azeez Prihar

Nawanshahr, Punjab, India

1954
sub.h aatī hai to aḳhbār se lag jaate haiñ
shaam jo Dhaltī hai bāzār se lag jaate haiñ
ishq meñ aur bhalā is ke sivā kyā hogā
dar se uThte haiñ to dīvār se lag jaate haiñ
jab ghaḌī aatī hai insāf kī dhīre dhīre
jurm aa kar sabhī haqdār se lag jaate haiñ
hijr meñ tere to ik chup sī lagī rahtī hai
vasl meñ bātoñ ke ambār se lag jaate haiñ
vaqt aatā hai jo suulī se utarne kā mirī
sach simaT kar mirī guftār se lag jaate haiñ
ab ke mausam bhī ajab hai tirī bātoñ jaisā
sun ke bāteñ tirī ashjār se lag jaate haiñ
khol detī hai havas pahle to chhoTī sī dukāñ
dekhte dekhte bāzār se lag jaate haiñ
ḳhvāb hai, jhuuT hai, maayā hai yā koī vardān
ham to sab bhuul ke sansār se lag jaate haiñ
Top Urdushayar.com