kis kis ko ab ronā hogā jaane kyā kyā bhuul gayā
chashm o lab kā zikr hī kyā hai maiñ to sarāpā bhuul gayā
us ne to shāyad bād-e-sabā se nāma-e-ḳhushbū bhejā thā
us ko ḳhabar kyā mujh ko chaman kā patta patta bhuul gayā
shahr-e-shab meñ apnī faqat ik najm-e-sahar se yaarī thī
ham kuchh aise so.e vo bhī rafta rafta bhuul gayā
ābla-pā huuñ āp-apne hī naqsh-e-qadam se Dartā huuñ
tanhā tanhā phirte phirte apnā saaya bhuul gayā
'shāz' se pūchho o saudā.ī kis kī dhun meñ phirtā hai
kis kī bāteñ yaad aatī haiñ kis kā chehra bhuul gayā