Ambareen Haseeb ambar

ek gali se KHushbu ki rasm-o-rah kafi hai

Ambareen Haseeb ambar

Karachi, Sindh, Pakistan

1981
ik galī se ḳhushbū kī rasm-o-rāh kaafī hai
laakh jabr mausam ho ye panāh kaafī hai
niyyat-e-zuleḳhā kī khoj meñ rahe duniyā
apnī be-gunāhī ko dil gavāh kaafī hai
umr-bhar ke sajdoñ se mil nahīñ sakī jannat
ḳhuld se nikalne ko ik gunāh kaafī hai
āsmāñ pe jā baiThe ye ḳhabar nahīñ tum ko
arsh ke hilāne ko ek gunāh kaafī hai
pairvī se mumkin hai kab rasā.ī manzil tak
naqsh-e-pā miTāne ko gard-e-rāh kaafī hai
chaar din kī hastī meñ hañs ke jī liye 'amabar'
be-nashāt duniyā se ye nibāh kaafī hai
Top Urdushayar.com