Ambareen Haseeb ambar

jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka

Ambareen Haseeb ambar

Karachi, Sindh, Pakistan

1981
jab se zindagī huā dil gardish-e-taqdīr kā
roz baḌh jaatā hai ik halqa mirī zanjīr kā
mere hisse meñ kahāñ thiiñ ujlatoñ kī manzileñ
mere qadmoñ ko sadā rasta milā tāḳhīr se
kis liye barbādiyoñ kā dil ko hai itnā malāl
aur kyā andāza ho ḳhamyāza-e-ta.amīr kā
ḳhūn-e-dil jin kī gavāhī meñ huā nazr-e-vafā
rañg to vo uḌ ga.e ab kyā karūñ tasvīr kā
maiñ ne samjhā terī chāhat ko faqat in.āmāt-e-zīst
mujh ko andāza na thā is jurm is ta.azīr kā
ek lab tak hī na pahuñchī jo duā thī mustajāb
kis qadar charchā huā hai āh-e-be-tāsīr kā
lafz kī hurmat muqaddam hai dil-o-jāñ se mujhe
sach ta.āruf hai mire har sher har tahrīr kā
Top Urdushayar.com