sitāra-bār ban jaa.e nazar aisā nahīñ hotā
har ik ummīd bar aa.e magar aisā nahīñ hotā
mohabbat aur qurbānī meñ hī ta.amīr muzmar hai
dar-o-dīvār se ban jaa.e ghar aisā nahīñ hotā
sabhī ke haath meñ misl-e-sifāl-e-nam nahīñ rahnā
jo mil jaa.e vahī ho kūza-gar aisā nahīñ hotā
kahā jaltā huā ghar dekh kar ahl-e-tamāshā ne
dhuāñ aise nahīñ uThtā sharar aisā nahīñ hotā
kisī kī mehrbāñ dastak ne zinda kar diyā mujh ko
maiñ patthar ho ga.ī hotī agar aisā nahīñ hotā
kisī jazbe kī shiddat munhasir takmīl par bhī thī
na paayā ho to khone kā bhī Dar aisā nahīñ hotā