Ambareen Haseeb ambar

mila bhi zist mein kya ranj-e-rah-guzar se kam

Ambareen Haseeb ambar

Karachi, Sindh, Pakistan

1981
milā bhī ziist meñ kyā ranj-e-rah-guzār se kam
so apnā shauq-e-safar bhī nahīñ ġhubār se kam
tire firāq meñ dil kā ajiib aalam hai
na kuchh ḳhumār se baḌh kar na kuchh ḳhumār se kam
hañsī-ḳhushī kī rafāqat kisī se kyā chāheñ
yahāñ to miltā nahīñ koī ġham-gusār se kam
vo muntazir hai yaqīnan havā-e-sarsar kā
jo habs ho na sakā bād-e-nau-bahār se kam
bulandiyoñ ke safar meñ qadam zamīñ pe raheñ
ye taḳht-o-tāj bhī hote nahīñ haiñ daar se kam
ajiib rañgoñ se mujh ko sañvār detī hai
ki vo nigāh-e-satā.ish nahīñ siñghār se kam
mirī anā hī sadā darmiyāñ rahī haa.el
vagarna kuchh bhī nahīñ mere iḳhtiyār se kam
vo jañg jis meñ muqābil rahe zamīr mirā
mujhe vo jiit bhī 'amabar' na hogī haar se kam
Top Urdushayar.com