ho ga.ī baat purānī phir bhī
yaad hai mujh ko zabānī phir bhī
mauja-e-ġham ne to dam toḌ diyā
rah gayā aañkh meñ paanī phir bhī
maiñ ne sochā bhī nahīñ thā is ko
ho ga.ī shaam suhānī phir bhī
chashm-e-nam ne use jaate dekhā
dil ne ye baat na maanī phir bhī
log arzāñ hue jaate haiñ yahāñ
baḌhtī jaatī hai girānī phir bhī
burīda laa.e ho darbār meñ tum
yaad hai sho.ala-bayānī phir bhī
bhuul jote haiñ musāfir rasta
log kahte haiñ kahānī phir bhī