Ambareen Haseeb ambar

ayan donon se takmil-e-jahan hai

Ambareen Haseeb ambar

Karachi, Sindh, Pakistan

1981
ayaañ donoñ se takmīl-e-jahāñ hai
zamīñ gum ho to phir kyā āsmāñ hai
tilsmātī koī qissa hai duniyā
yahāñ har din na.ī ik dāstāñ hai
jo tum ho to ye kaise maan luuñ maiñ
ki jo kuchh hai yahāñ bas ik gumāñ hai
saroñ par āsmāñ hote hue bhī
jise dekho vahī be-sā.ebāñ hai
kisī dhartī kī shāyad ret hogī
hamāre vāste jo kahkashāñ hai
agar thā chand-roza mausam-e-gul
to phir do chaar hī din kī ḳhizāñ hai
jise umr-e-ravāñ kahte haiñ 'amabar'
chalo dekheñ kahāñ tak rā.egāñ hai
Top Urdushayar.com