zindagī-bhar ek hī kār-e-hunar karte rahe
ik gharauñdā ret kā thā jis ko ghar karte rahe
ham ko bhī ma.alūm thā anjām kyā hogā magar
shahr-e-kūfa kī taraf ham bhī safar karte rahe
uḌ ga.e saare parinde mausamoñ kī chaah meñ
intizār un kā magar būḌhe shajar karte rahe
yuuñ to ham bhī kaun sā zinda rahe is shahr meñ
zinda hone kī adākārī magar karte rahe
aañkh rah taktī rahī dil us ko samjhātā rahā
apnā apnā kaam donoñ umr-bhar karte rahe
ik nahīñ kā ḳhauf thā so ham ne pūchhā hī nahīñ
yaad kyā ham ko bhī vo dīvār-o-dar karte rahe