ai junūñ dasht meñ dīvār kahāñ se lā.ūñ
maiñ tamāshā sahī bāzār kahāñ se lā.ūñ
yād-e-ayyām ki kuchh sar meñ samā.ī thī havā
ab vo TuuTā huā pindār kahāñ se lā.ūñ
kis se pūchhūñ ki mirā hāl-e-pareshāñ kyā hai
tujh ko ai ā.ina-bardār kahāñ se lā.ūñ
merī un āñkhoñ ne jaise tujhe dekhā hī nahīñ
haa.e vo hasrat-e-dīdār kahāñ se lā.ūñ
in nigāhoñ meñ tarasne kī sī kaifiyyat hai
tāqat-e-pursish-e-bīmār kahāñ se lā.ūñ
ab mire kufr ko īmāñ nahīñ kahtā koī
tujh ko ai chashm-e-taraf-dār kahāñ se lā.ūñ
thā ye ghar bāb-e-duā misl-e-asar terā varūd
ab tujhe ai qadam-e-yār kahāñ se lā.ūñ