vo masīhā na banā ham ne bhī ḳhvāhish nahīñ kī
apnī shartoñ pe jiye us se guzārish nahīñ kī
us ne ik roz kiyā ham se achānak vo savāl
dhaḌkaneñ tham sī ga.iiñ vaqt ne jumbish nahīñ kī
kis liye bujhne lage avval-e-shab saare charāġh
āñdhiyoñ ne bhī agarche koī sāzish nahīñ kī
ab ke ham ne bhī diyā tark-e-ta.alluq kā javāb
hoñT ḳhāmosh rahe aañkh ne bārish nahīñ kī
ham to sunte the ki mil jaate haiñ bichhḌe hue log
tū jo bichhḌā hai to kyā vaqt ne gardish nahīñ kī
us ne zāhir na kiyā apnā pashemāñ honā
ham bhī anjān rahe ham ne bhī pursish nahīñ kī