ḳhud apnā haal dil-e-mubtalā se kuchh na kahā
duā se haath uThā.e ḳhudā se kuchh na kahā
kise sunā.ūñ ki nā-sāz hai junūñ kā mizāj
ḳhud apne shahr kī āb-o-havā se kuchh na kahā
ye kis se ishq huā kyuuñ huā ta.ajjub hai
vo ḳhauf hai ki kisī āshnā se kuchh na kahā
ye hosh hai ki guzar jā.egī phuvār kī rut
magar ye zo.am ki uudī ghaTā se kuchh na kahā
tire ḳhirām ko dekhā ba-chashm-e-hasrat-o-yās
tamām umr tire naqsh-e-pā se kuchh na kahā
khule to kaise khule rāz-e-unfuvān-e-shabāb
hayā ne kyā tire band-e-qabā se kuchh na kahā
vo kyā adā thī ki lahloT ho ga.e tum 'shāz'
ġhazab kiyā usī jān-e-adā se kuchh na kahā