shab-o-roz jaise Thahar ga.e koī naaz hai na niyāz hai
tire hijr meñ ye patā chalā mirī umr kitnī darāz hai
ye jahāñ hai mahbas-e-be-amāñ koī saañs le to bhalā kahāñ
tirā husn aa gayā darmiyāñ yahī zindagī kā javāz hai
ho badan ke loch kā kyā bayāñ kisī nai kī mauj hai par-fishāñ
koī lai hai zer-e-qabā nihāñ koī shai ba-sūrat-e-rāz hai
tire ġham se dil phir amiir ho koī chāñd nikle safīr ho
shab-e-dasht ho hai ye zindagī na nasheb hai na farāz hai
chale taa.ir uḌ ke pas-e-shafaq hai udaas udaas ruḳh-e-ufuq
ki bayāz-e-shām kā har varaq tirī dāstān-e-darāz hai
agar ehtiyāt-e-ḳhitāb ho lab-e-sañg khil ke gulāb ho
tū kisī sanam ko sadā to de dar-e-but-kada abhī baaz hai
vahī ruup sāġhar-e-jam meñ bhī vahī aks dīda-e-nam meñ bhī
mire vāste tū haram meñ bhī vahī 'shāz' rū-e-majāz hai