dil-shikasta hue TuuTā huā paimān bane
ham vahī haiñ jo tumheñ dekh ke anjān bane
chand yādeñ mirī zanjīr-e-shab-o-roz banīñ
chand lamhe mire kho.e hue ausān bane
vo bhī kyā fasl thī kyā sho.ala-e-ḳhirman thā buland
vo bhī kyā din the ki dāman se garebān bane
in kī duurī kā bhī ehsāñ hai mirī sāñsoñ par
mujh se is tarah vo bichhḌe ki nigahbān bane
ahl-e-sāhil se nadāmat sī nadāmat hai ki ham
ek kashtī-e-tah-e-āb kā sāmān bane
haa.e kyā aas thī kyā kyā na tumheñ banñā thā
tum bane bhī to mire dard kī pahchān bane
ghar sajānā to kujā 'shāz' luTā bhī na sakūñ
in se shikva hai ki vo kyuuñ mire mehmān bane