tumhāre hijr ko kaafī nahīñ samajhtā maiñ
kisī malāl ko hatmī nahīñ samajhtā maiñ
ye aur baat ki aarī hai dil mohabbat se
ye dukh sivā hai ki aarī nahīñ samajhtā maiñ
chalā hai raat ke ham-rāh chhoḌ kar mujh ko
charāġh us ko to yaarī nahīñ samajhtā maiñ
maiñ inhimāk se ik intizār jī rahā huuñ
magar ye kaam zarūrī nahīñ samajhtā maiñ
mirī vafā hai mire muñh pe haath rakkhe hue
tū sochtā hai ki kuchh bhī nahīñ samajhtā maiñ