vāda-o-qaul-o-qasam ne mujhe jiine na diyā
kyā sitam hai ki karam ne mujhe jiine na diyā
dil to āmāda-e-ġham thā ba-īñ barbādī-e-jāñ
magar andāza-e-ġham ne mujhe jiine na diyā
nāz-bardār-e-savāl-e-dil-e-pur-ḳhūñ na milā
kāsa-e-dīda-e-nam ne mujhe jiine na diyā
tū jafā-pesha hai kis muñh se kahūñ duniyā se
apnī chāhat ke bharam ne mujhe jiine na diyā
ek nādīda ḳhudā ne mire naale na sune
ek patthar ke sanam ne mujhe jiine na diyā
ek saa.e kā karam hai tapish-e-jāñ pe hanūz
ek dīvār ke ḳham ne mujhe jiine na diyā
sher likhtā huuñ ki taqdīr-e-tamannā ai 'shāz'
hunar-e-lauh-o-qalam ne mujhe jiine na diyā