charāġh tāq-e-tilismāt meñ dikhā.ī diyā
phir is ke ba.ad mere haath meñ dikhā.ī diyā
maiñ ḳhush huuñ kamre meñ pahlī darāḌ aane se
chalo maiñ apne mazāfāt meñ dikhā.ī diyā
ka.ī charāġh banā lūñgā toḌ kar sūraj
agar kabhī ye mujhe raat meñ dikhā.ī diyā
hazār ā.ankhoñ ne ghere meñ le liyā mujh ko
maiñ ek shaḳhs ke ḳhadshāt meñ dikhā.ī diyā
ik aur ishq mujhe kah rahā thā aa 'ahmad'
ik aur hijr mirī ghaat meñ dikhā.ī diyā