dāna-e-gandum-e-bedār uThāne lagā huuñ
ḳhaak huuñ ḳhaak kā āzār uThāne lagā huuñ
kurra-e-hijr se honā hai numūdār mujhe
maiñ tire ishq kā inkār uThāne lagā huuñ
lau ne sardār kiye rakkhā hai shab bhar tum ko
ai charāġho maiñ ye dastār uThāne lagā huuñ
ye khulī jañg hai aur jañg bhī hai apne ḳhilāf
is liye apne taraf-dār uThāne lagā huuñ
ek āvāz mirī niiñd uḌā detī hai
ibn-e-ādam tire āsār uThāne lagā huuñ