zinda rahne kā taqāzā nahīñ chhoḌā jaatā
ham ne tujh ko nahīñ chhoḌā nahīñ chhoḌā jaatā
ain mumkin hai tire hijr se mil jaa.e najāt
kyā kareñ yaar ye sahrā nahīñ chhoḌā jaatā
chhoḌ jaatī hai badan ruuh bhī jaate jaate
qaid se koī bhī puurā nahīñ chhoḌā jaatā
is qadar TuuT ke milne meñ hai nuqsān ki jab
khet pyāse hoñ to dariyā nahīñ chhoḌā jaatā
chhoḌnā tujh ko mirī jaañ hai bahut ba.ad kī baat
ham se to shahr bhī terā nahīñ chhoḌā jaatā
raushnī ḳhuub hai lekin mire hayyun-o-qayyūm
yaar añdhere meñ akelā nahīñ chhoḌā jaatā