koī mansab koī dastār nahīñ chāhiye hai
shāhzādī mujhe darbār nahīñ chāhiye hai
āḳhirī ashk se is sog kī takmīl huī
ab mujhe koī azā-dār nahīñ chāhiye hai
is takalluf se ziyāda kā talabgār huuñ maiñ
sirf ye sāya-e-dīvār nahīñ chāhiye hai
ab muqābil mire apne haiñ sau ai rabb-e-jalīl
hausla chāhiye talvār nahīñ chāhiye hai
chāhiye hai mujhe inkār-e-mohabbat mire dost
lekin is meñ tirā inkār nahīñ chāhiye hai
āḳhir a.azā ne mire saath baġhāvat kar dī
ab qabīle ko ye sardār nahīñ chāhiye hai