Nawab Shahabadi

us shajar par kuchh dinon tak aashiyan mera bhi tha

Nawab Shahabadi

us shajar par kuchh dinoñ tak āshiyāñ merā bhī thā
chaar rañgoñ kā sahī lekin makāñ merā bhī thā
haq tumhārī tarah har shai par yahāñ merā bhī thā
ye zamīñ merī bhī thī ye āsmāñ merā bhī thā
dekh lo merī jabīñ par bhī haiñ sajdoñ ke nishāñ
zindagī ke vāste ik āstāñ merā bhī thā
is liye hoñToñ ko mere pyaas chhū paatī nahīñ
duḳhtar-e-raz bhī mirī pīr-e-muġhāñ merā bhī thā
jaane kyuuñ dozaḳh se bad-tar ho ga.e hālāt aaj
rashk-e-jannat kal talak hindostāñ merā bhī thā
āzmāyā zarf ko mere bhī duniyā ne 'navāb'
ziist ke har moḌ par ik imtihāñ merā bhī thā
Top Urdushayar.com