Nawab Shahabadi

aksar zamin se uD ke falak par gaya hun main

Nawab Shahabadi

aksar zamīñ se uḌ ke falak par gayā huuñ maiñ
mushkil thā ye kamāl magar kar gayā huuñ maiñ
maiñ jāntā thā hogī na mujh par nazar kabhī
mahfil meñ un kī phir bhī barābar gayā huuñ maiñ
patthar tarāsh kar ke to īshvar banā diyā
apne hī shahkār se kyuuñ Dar gayā huuñ maiñ
raushan kiyā hai maiñ ne hamesha vafā kā naam
dār-o-rasan kī samt bhī aksar gayā huuñ maiñ
Tokā har ik gaam pe mere zamīr ne
jab bhī hudūd-e-shauq ke bāhar gayā huuñ maiñ
maqtal kā haal dekhā hai maiñ ne qarīb se
kūche meñ qātiloñ ke bhī aksar gayā huuñ maiñ
ehsās mujh ko itnā bhī ab to nahīñ 'navāb'
maiñ jī rahā huuñ aaj bhī ki mar gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com