ḳharāb huuñ ki junūñ kā chalan hī aisā thā
ki terā husn mirā husn-e-zan hī aisā thā
har ek Duub gayā apnī apnī yādoñ meñ
ki terā zikr sar-e-anjuman hī aisā thā
bahāna chāhiye thā jū-e-shīr-o-shīrīñ kā
koī samajh na sakā tesha-zan hī aisā thā
had-e-adab se gurezāñ na ho sakā koī
ki sādgī meñ tirā bāñkpan hī aisā thā
rafāqatoñ meñ bhī niklīñ riqābateñ kyā kyā
maiñ kyā kahūñ tirā rū-e-suḳhan hī aisā thā
jahāñ bhī chhāñv milī do-ghaḌī ko baiTh rahe
dayār-e-ġhair kahāñ thā vatan hī aisā thā
thī daaġh daaġh mire qātiloñ kī ḳhush-poshī
ki umr-bhar mire sar par kafan hī aisā thā
mujhe to yuuñ lagā tarshā huā thā sho.ala koī
badan hī aisā thā kuchh pairahan hī aisā thā
haqīqatoñ meñ bhī thī 'shāz' rañg-āmezī
qasīda-e-lab-o-āriz kā fan hī aisā thā