umīdeñ to vābasta haiñ abr-e-tar se
jo barse to barse na barse na barse
jahāñ kyā hai aur is kī rañgīniyāñ kyā
ye pūchho kisī dīda-e-haq-nigar se
zabān o dahan se jo khulte nahīñ haiñ
vo khul jaate haiñ raaz aksar nazar se
mirā rāsta kārvāñ se alag hai
guzarnā hai ik manzil-e-pur-ḳhatar se
ye hai 'amn' insāñ kī pastī sī pastī
gunah se bachā bhī to dozaḳh ke Dar se