kahā jhuñjhlā ke ahl-e-qāfila se ek rahbar ne
abhī to pahlī manzil hai abhī se kyuuñ lage Darne
mukammal dāstāñ kā iḳhtisār itnā hī kaafī hai
sulāyā shor-e-duniyā ne jagāyā shor-e-mahshar ne
sar-e-dīvār-e-zindāñ chāñdnī chhantī thī pattoñ se
diyā thā qaid meñ kyā lutf aisī shab ke manzar ne
zamāne kī kashākash kā diyā paiham pata mujh ko
kahīñ TuuTe hue dil ne kahīñ TuuTe hue sar ne
haiñ kitnī muḳhtalif bāham tabā.e nasl insāñ kī
rahe ma.azūr ab tak jo chale the tajziye karne
fidā-e-rañg-o-roġhan sat.h-bīiñ se kyā ġharaz us ko
jagah dī jis ko chashm o dil meñ har ik ahl-e-jauhar ne