shauq-e-savāb kuchh nahīñ ḳhauf-e-azāb kuchh nahīñ
jis meñ na josh-e-johd ho us kā shabāb kuchh nahīñ
zindagī ik savāl hai jis kā javāb maut hai
maut bhī ik savāl hai jis kā javāb kuchh nahīñ
naġhma-e-nau ke vāste ġhair kī ehtiyāj kyā
chheḌ de tār-e-sāz-e-dil chañg-o-rubāb kuchh nahīñ
saaf diloñ ke vāste tañg hai arsa-e-hayāt
zāt-e-hubāb ḳhuub hai umr-e-hubāb kuchh nahīñ
barhaman aur shaiḳh meñ jhagḌe yahī haiñ raat din
terī kitāb kuchh nahīñ terī kitāb kuchh nahīñ
raat ko mai-kade meñ kal thī kisī mast kī sadā
ek nazar kā rañg hai rañg-e-sharāb kuchh nahīñ