charāġh-e-hasrat-o-armāñ bujhā ke baiThe haiñ
har ek tarh se ḳhud ko jalā ke baiThe haiñ
na koī rāhguzar hai na koī vīrāna
ġham-e-hayāt meñ sab kuchh luTā ke baiThe haiñ
junūñ kī had hai ki hosh-o-ḳhirad kī manzil hai
ḳhabar nahīñ hai kahāñ aaj aa ke baiThe haiñ
kabhī jo dil ne kahā ab chalo yahāñ se chaleñ
to uTh ke ālam-e-vahshat meñ jā ke baiThe haiñ
ye kis jagah pe qadam ruk ga.e haiñ kyā kahiye
ki manziloñ ke nishāñ tak miTā ke baiThe haiñ