aaj mujhe kuchh log mile haiñ pāgal se
shahr meñ vahshī dar aa.e kyā jañgal se
saare masā.il lā-yanhal se lagte haiñ
niklūñ kaise soch kī gahrī daldal se
barf-numā sī tāroñ kī chanchal kirneñ
chhan kar nikleñ raat ke kaale āñchal se
zehn se yuuñ hai fikr-o-nazar kā ab rishta
panghaT ko ik rabt ho jaise chhāgal se
yaad kī ḳhushbū dil ke nagar meñ phailegī
ġham ke saa.e lagte haiñ ab shītal se
jism-o-jāñ par sannāToñ kā pahra ho
baaz aayā maiñ ab duniyā kī halchal se
tanhā.ī kā zahr bhalā kyā phailegā
chhā.e ho tum ehsās pe mere bādal se