baḌe sukūn se ḳhud apne ham-saroñ meñ rahe
jab ā.ina-sifat insān pattharoñ meñ rahe
bhalā vo kaise jarā.em ke haath kāTeñge
jo sahme simTe se ḳhud apne bistaraoñ meñ rahe
nafas nafas thā bikharne kā silsila jaarī
barā.e naam hī mahfūz ham gharoñ meñ rahe
hamārī nukta-rasī is qadar girāñ guzrī
ki ban ke ḳhaar hamesha nazar-varoñ meñ rahe
sahīfe fikr-o-nazar ke jo de ga.e tartīb
vahī to sher-o-suḳhan ke payambaroñ meñ rahe
uThā.e dosh pe maslūb hasratoñ kī laash
ham apne shahr ke ḳhūñ-bār manzaroñ meñ rahe
tarāsh kar na.ī tahzīb ke sanam ham log
''ba-sad vaqār zamāne ke āzaroñ meñ rahe