ḳhvāb bikhreñge to ham ko bhī bikharnā hogā
shab kī ik ek aziyyat se guzarnā hogā
vo hamāre hī rag-o-pai meñ nihāñ rahtā hai
is kī tasdīq to ik din hameñ karnā hogā
apne ḳhākistar-e-tan ko liye kūche kūche
kyā havāoñ kī tarah mujh ko guzarnā hogā
hameñ ahbāb kī be-laus rifāqat ke sabab
vaqt aa.egā to be-maut bhī marnā hogā
hoñge sahrāoñ ke sannāTe nazar kī had meñ
koī vaadī na koī ḳhvāb na jharnā hogā
aa.ina aa.ina ḳhud saarī dishā.eñ hoñgī
aks-dar-aks magar ham ko ubharnā hogā
chīḳhte ḳhvāboñ kī ta.abīr yahī kahtī hai
hogī haḌtāl kahīñ to kahīñ dharnā hogā