Anwar Minai

gum kar den ek zara tujhe KHwabon ke shahr mein

Anwar Minai

Karnataka, India

1984
gum kar deñ ik zarā tujhe ḳhvāboñ ke shahr meñ
nukte kuchh aise DhūñD kitāboñ ke shahr meñ
dīvāngī kī aisī milegī kahāñ misāl
kāñTe ḳhārīdtā huuñ gulāboñ ke shahr meñ
ā.īne bolte haiñ to ye bhī batā.eñge
kyā be-hijāb huuñ maiñ hijāboñ ke shahr meñ
nākāmiyoñ kī aag meñ taptī haiñ ḳhvāhisheñ
jaltī hai merī ruuh azāboñ ke shahr meñ
is ahd-e-nā-shanās meñ iḳhlās kī talab
gauhar kī justujū hai habāboñ ke shahr meñ
har manzar-e-hasīñ pe hai ik chādar-e-ġhubār
kyā maiñ bhaTak rahā huuñ sarāboñ ke shahr meñ
'anvar' hameñ to aaj bhī fikr-o-nigāh ke
bosīda ghar mile haiñ nisāboñ ke shahr meñ
Top Urdushayar.com