har dam duā-e-āb-o-havā māñgte rahe
nañge daraḳht sabz qabā māñgte rahe
yāroñ kā e'tiqād bhī andhā thā is qadar
gūñgī rivāyatoñ se sadā māñgte rahe
kitnī ajiib baat thī jab sard raat se
ham dopahar kī garm havā māñgte rahe
karte rahe jo din ke ujāloñ se ehtirāz
vo bhī añdherī shab meñ ziyā māñgte rahe
kuchh log aise bhī the jo lamhāt-e-karb se
āsūda sā.atoñ kā pata māñgte rahe