maḳhmalī ḳhvāb kā āñkhoñ meñ na manzar phailā
zahr hī zahr mire jism ke andar phailā
sabz mausam meñ bhī ho jis kī shabāhat piilī
is chaman meñ kahīñ sho.ale kahīñ patthar phailā
ḳhaufnākī asar-andāz huā kartī hai
is ko aḳhbār kī mānind na ghar ghar phailā
ho ye mumkin to mire jism ke andar bhī utar
reza reza mujhe har samt barābar phailā
iḳhtirā.āt ke baa.is hī jahāñ meñ ab tak
na.e ehsās kā be-pāyāñ samundar phailā
vaj.h-e-taklīf na ban jaa.e ḳhalā kī ḳhvāhish
ab uḌānoñ ke liye par na kabūtar phailā
laakh sūraj kī ināyāt raheñ mere saath
merā saaya na mire qad ke barābar phailā