Anwar Minai

har manzar-e-KHush-rang sulag jae to kya ho

Anwar Minai

Karnataka, India

1984
har manzar-e-ḳhush-rañg sulag jaa.e to kyā ho
shabnam bhī agar aag hī barsā.e to kyā ho
ehsās kī qindīl se az.hān haiñ raushan
lekin ye ujālā bhī jo kajlā.e to kyā ho
suraj kī tamāzat se jhulas jaatī hai duniyā
suraj mire qadmoñ pe utar aa.e to kyā ho
zar-tābī-e-afkār to pahle hī se hai maañd
alfāz kā ā.īna bhī dhundlā.e to kyā ho
maiñ jab bhī likhūñ vaqt ke ḳhūñ-rez fasāne
hāthoñ maiñ qalam chhūT ke rah jaa.e to kyā ho
be-ḳhvāb nigāhoñ ke ufaq par jo āchānak
dhundlā sā koī chāñd ubhar aa.e to kyā ho
Top Urdushayar.com