Mohammad Amir Azam Quraishi

kabhi mahr-o-mah-o-nujum se kabhi kahkashan se guzar gaya

Mohammad Amir Azam Quraishi

kabhī mahr-o-māh-o-nujūm se kabhī kahkashāñ se guzar gayā
maiñ tirī talāsh meñ āḳhirash had-e-lā-makāñ se guzar gayā
ye tafā.ut-e-sanam-o-haram hai tabhī ki jab bhī nasha ho kam
jo bhī ġharq-e-bāda-e-haq huā ġham-e-īn-o-āñ se guzar gayā
kabhī shahr-e-husn-e-ḳhayāl se kabhī dasht-e-huzn-o-malāl se
tire ishq meñ tere pyaar meñ maiñ kahāñ kahāñ se guzar gayā
tirī rahguzar mirī rahguzar tire naqsh-e-pā mirī raah par
tū jahāñ jahāñ se guzar gayā maiñ vahāñ vahāñ se guzar gayā
rah-e-zindagī meñ maqām vo mujhe bār-hā mile dosto
ki ḳhirad kā paañv phisal gayā hai junūñ jahāñ se guzar gayā
mirā jism kyā mirī ruuh kyā nahīñ koī zaḳhmoñ kī intihā
ai 'amīr' tīr-e-nigāh-e-husn kahāñ kahāñ se guzar gayā
Top Urdushayar.com