Mohammad Amir Azam Quraishi

daman daraaz kar to rahe ho duaon ke

Mohammad Amir Azam Quraishi

dāman darāz kar to rahe ho duāoñ ke
dhabbe bhī haiñ nigāh meñ apnī qabāoñ ke
siine meñ soz-e-marg-e-tamannā na pūchhiye
marghaT meñ jaise uThte hoñ sho.ale chitāoñ ke
ham ne to kashtiyoñ ko Dubonā kiyā qubūl
mannat-guzār ho na sake nā-ḳhudāoñ ke
duniyā ne un pe chalne kī rāheñ banā.ī haiñ
aa.e nazar jahāñ bhī nishāñ mere paañv ke
sahrā ke ḳhushk siine se chashma ubal paḌā
ragḌe lage jo nanhe se bachche ke paañv ke
būḌhā sā ek peḌ vo ab sahn meñ nahīñ
ham ne uThā.e faiz sadā jis kī chhāñv ke
pī lo 'amīr' ab mai-e-irfān-o-āgahī
kyuuñ jaal meñ phañse ho majāzī ḳhudāoñ ke
Top Urdushayar.com