mujhe ho na phir nadāmat kahīñ arz-e-hāl kar ke
maiñ ḳhamosh rah gayā huuñ yahī ehtimāl kar ke
na rahe koī bhī shikva mujhe phir tire karam kā
jo atā mujhe ho saaqī to ho ye ḳhayāl kar ke
mujhe aap ne jo dekhā thā vo ittifāq lekin
mire dostoñ ne chheḌā mujhe kyā ḳhayāl kar ke
mirī aarzū ko Taalā mujhe uljhanoñ meñ Daalā
kabhī kuchh savāl kar ke kabhī kuchh savāl kar ke
koī ġham agar nahīñ hai to vo kyā sabab hai jis ne
ai 'amīr' rakh diyā hai tujhe ḳhasta-hāl kar ke