Zahidul Haque

ilzam bata kaun mere sar nahin aaya

Zahidul Haque

Bihar, India

1977
ilzām batā kaun mire sar nahīñ aayā
hisse meñ mire kaun sā patthar nahīñ aayā
ham jo bhī hue haiñ baḌī mehnat se hue haiñ
kaam apne kabhī apnā muqaddar nahīñ aayā
kuchh aur nahīñ bas ye to miTTī kā asar hai
zālim ko kabhī kahnā hunar-var nahīñ aayā
dil kā sabhī darvāza khulā rakkhā hai maiñ ne
par us ko na aanā thā sitamgar nahīñ aayā
muñh moḌ liyā tum ne to ye haal huā hai
vo ghar se gayā aise ki phir ghar nahīñ aayā
ġhazleñ to bahut kahte ho lekin miyāñ 'zāhid'
ab tak tumheñ banñā bhī suḳhnavar nahīñ aayā
Top Urdushayar.com