aap ne haath rakkhā mire haat par
phir gayā saarā ilzām barsāt par
aag sāvan ne saarī lagā.ī yahāñ
tars khaa.ī na kuchh us ne hālāt par
vo mirā imtihāñ leñge hargiz nahīñ
jaan de deñge ham un kī ik baat par
mehrbāñ vo hue jab ghaḌī do ghaḌī
ham ne ġhazleñ kahīñ chāñdnī-rāt par
jiit kar bhī use is qadar rañj hai
vo pashemān kyuuñ hai mirī maat par
barf kī vādiyoñ meñ vo milnā tirā
ye ġhazal nazr hai us mulāqāt par