Zahidul Haque

ab to ye bhi hone laga hai hum mein un mein baat nahin

Zahidul Haque

Bihar, India

1977
ab to ye bhī hone lagā hai ham meñ un meñ baat nahīñ
duniyā vaale pūchhte haiñ kyā pahle se hālāt nahīñ
ek agar ho ishq kī baazī to phir koī baat nahīñ
kaun sā aisā khel hai jis meñ ham ne khaa.ī maat nahīñ
aañkh se aañsū ban ke baheñ jo aise sab jazbāt nahīñ
dil kā zaḳhm chhupā ke jiinā sab ke bas kī baat nahīñ
din to din hai tere bin ab raat kī bhī auqāt nahīñ
tum mil jaao aur sab baazī hāreñ bhī to maat nahīñ
'zāhid' kī ye saarī qanā.at kyā terī sauġhāt nahīñ
thoḌī pī kar ziyāda bahke aisī us kī zaat nahīñ
Top Urdushayar.com