havā ke dosh pe raqs-e-sahāb jaisā thā
tirā vajūd haqīqat meñ ḳhvāb jaisā thā
dam-e-vidā.a samundar bichhā rahā thā koī
tamām-shahr hī chashm-e-pur-āb jaisā thā
mirī nigāh meñ rañgoñ kī dhuup chhāñv sī thī
hujūm-e-gul meñ vo kyā thā gulāb jaisā thā
hamārī pyaas ne vo bhī nazāra dekh liyā
ravāñ-davāñ koī dariyā sarāb jaisā thā
jhukī nigāh vo kam kam suḳhan dam-e-iqrār
vo harf harf tirā intiḳhāb jaisā thā
mujhe to sair-e-jahāñ sair-e-bāzgasht huī
tirā jahāñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb jaisā thā
shikasta ḳhvāboñ ke TukḌoñ ko joḌte the ham
vo din ajiib thā roz-e-hisāb jaisā thā
hameñ baratne meñ kuchh ehtiyāt lāzim thī
diloñ kā haal shikasta kitāb jaisā thā
maiñ 'shāz' kyā kahūñ kyā raushnī thī rāhoñ meñ
vo āftāb na thā āftāb jaisā thā