sub.h ko aa.e ho nikle shaam ke
jaao bhī ab tum mire kis kaam ke
hāthā-pā.ī se yahī matlab bhī thā
koī muñh chūme kalā.ī thaam ke
tum agar chāho to kuchh mushkil nahīñ
Dhañg sau haiñ nāma-o-paiġhām ke
chheḌ vaa.iz har ghaḌī achchhī nahīñ
riñd bhī haiñ ek apne naam ke
qahr Dhā.egī asīroñ kī taḌap
aur bhī uljheñge halqe daam ke
mohtasib chun lene de ik ik mujhe
dil ke TukḌe haiñ ye TukḌe jaam ke
lākhoñ dhaḌke ibtidā-e-ishq meñ
dhyān haiñ āġhāz meñ anjām ke
mai kā fatvā to sahī qaazī se luuñ
Tok kar raste meñ dāman thaam ke
duur daur-e-mohtasib hai āj-kal
ab kahāñ vo daur-daure jaam ke
naam jab us kā zabāñ par aa gayā
rah gayā nāseh kalejā thaam ke
duur se naale mire sun kar kahā
aa ga.e dushman mire ārām ke
haa.e vo ab pyaar kī bāteñ kahāñ
ab to laale haiñ mujhe dushnām ke
vo lagā.eñ qahqahe sun kar 'hafīz'
aap naale kījiye dil thaam ke