vasl meñ aapas kī hujjat aur hai
is shakar-rañjī meñ lazzat aur hai
kuchh nahīñ vāda-ḳhilāfī kā gila
aap se ham ko shikāyat aur hai
sub.h hote hī badal jā.egī aañkh
raat bhar un kī ināyat aur hai
vaaz kahtā hai jo mai-ḳhāne ke paas
mai-kasho vaa.iz kī nīyat aur hai
saañs ukhḌī hai tire bīmār kī
ab koī dam kī musībat aur hai
hūreñ bhī achchhī haiñ ai zāhid magar
in parī-zādoñ kī sūrat aur hai
ilm jauhar hai 'hafīz' insān kā
sach hai lekin ādmiyat aur hai