patthar se na maaro mujhe dīvāna samajh kar
aayā huuñ idhar kūcha-e-jānāna samajh kar
kahte haiñ ye rone se lagī dil kī bujhegī
samjhāte haiñ apnā mujhe parvāna samajh kar
maiñ vo huuñ ki serī mujhe hotī nahīñ mai se
denā mire saaqī mujhe paimāna samajh kar
naḳhvat se jo ik baat na sunte the hamārī
ḳhud chheḌ rahe haiñ hameñ dīvāna samajh kar
ham un ke haiñ dil un kā hai jaañ un kī hai lekin
phir muñh ko chhupāte haiñ vo begāna samajh kar
rakkhā na kahīñ kā hameñ barbādi-e-dil ne
armān Thaharte nahīñ vīrāna samajh kar
dekh aap se bāhar na ho mansūr kī sūrat
karnā hai to kar nāra-e-mastāna samajh kar
ham aur hī kuchh DhūñDte phirte haiñ butoñ meñ
but-ḳhāne meñ jaate nahīñ but-ḳhāna samajh kar
ḳhūbāñ se paTe yā na paTe vasl kā saudā
dil pahle hī le lete haiñ bai.āna samajh kar
saaqī kī jo āñkhoñ ko huī bazm meñ gardish
ham lauT ga.e gardish-e-paimāna samajh kar
kah jaate 'hafīz' un ko ho tum josh meñ kyā kuchh
vo tarah diye jaate haiñ dīvāna samajh kar