Hafeez Jaunpuri

KHarab-o-KHasta hue KHak mein shabab mila

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
ḳharāb-o-ḳhasta hue ḳhaak meñ shabāb milā
hameñ ye dil na milā jaan kā azaab milā
kisī kī yaad meñ be-shubah be-qarār hai tū
ki aaj hai tirī shoḳhī meñ iztirāb milā
sharāb pī to gunahgār maiñ huā vaa.iz
burā.ī kī jo mirī tujh ko kyā savāb milā
mile vo aish-e-guzishta bhī ai ḳhudā mujh ko
bahisht meñ jo dobāra mujhe shabāb milā
baḌī karīm hai pīr-e-muġhāñ kī bhī sarkār
ki jab milā mujhe sāġhar alal-hisāb milā
kuchh aarzū na rahī tark-e-ārzū ke sivā
mire savāl kā aisā mujhe javāb milā
gayā jo dil to milā dāġh-e-ārzū mujh ko
ik āftāb jo khoyā ik āftāb milā
'hafīz' tum ko vo nākām-e-vasl kahte haiñ
burā na maano ye achchhā tumheñ ḳhitāb milā
Top Urdushayar.com